Zamaana Sach Kehta Hai from Ambar

Advertisements


Movie : Ambar
Singers : Mohammad Rafi and Lata Mangeshkar
Song : Zamaana Sach Kehta Hai
Lyricist : Shakeel Badayuni
Actors : Raj Kapoor, Nargis, Agha, Bipin Gupta
Music Directors : Ghulam Mohammad

duniya mein..
duniya mein..
duniya mein nahi
koi yaar wafadaar
zamaana sach kehta hai
zamaana sach kehta hai

yahaan karna kisi se
pyaar hai bekaar
zamaana sach kehta hai
zamaana sach kehta hai

dukh dard ka hai
bazaar ye sansaar
zamaana sach kehta hai
zamaana sach kehta hai

milna hai yahaan dushwaar
dil ko qaraar
zamaana sach kehta hai
zamaana sach kehta hai

kar gaye wo bhi humse kinaara
jin ko basaaya man mein
pyaar ki baazi jeet saka hai
koi na is jeevan mein
koi na is jeevan mein

hoti hai yahaan
har baar dil ki haar
zamaana sach kehta hai
zamaana sach kehta hai

kismat ne majboor bana kar
chheen liya sukh hum se
kaaya is qaid mein aa kar
kaun bacha hai ghum se
kaun bacha hai ghum se

chalte hain yahaan par waar
ghum ke hazaar
zamaana sach kehta hai
zamaana sach kehta hai

duniya mein nahi
koi yaar wafadaar
zamaana sach kehta hai
zamaana sach kehta hai

dukh dard ka hai
bazaar ye sansaar
zamaana sach kehta hai
zamaana sach kehta hai

This song is a good philosophical number from the film Ambar which was released in the year 1952. Voice for this track was given by Mohammad Rafi and Lata Mangeshkar and its picturisation is shown on Raj Kapoor and Nargis.


 



No Responses to “Zamaana Sach Kehta Hai from Ambar”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.