Ye Aaj Kya Ho Gaya from Luck By Chance

Advertisements


Movie : Luck By Chance
Singers : Sunidhi Chauhan
Song : Ye Aaj Kya Ho Gaya
Lyricists : Javed Akhtar
Actors : Farhan Akhtar, Konkona Sen Sharma, Rishi Kapoor, Dimple Kapadia, Hrithik Roshan, Isha Sharvani, Juhi Chawla
Music Directors : Shankar Mahadevan, Ehsan Noorani and Loy Mendonsa

Suraj meri khidki se jo hai jhaankta
Kirano ko jaise mil gaya hai raasta
Hasti hui aa gayi o o..
Kamre mein jitni neend thi sab ud gayi
Ummeed jaate jaate wapas mud gayi
Laut aayi hai phir yahin o o

Jaane ye sab kya hai
Jo bhi hai naya sa hai
Pairon tale dil kho gaya
Ye aaj kya ho gaya

Duniya hi badlne ko hai
Zindagi sanwarne ko hai
Jaane kyun ye mujhko hai laga
lachki hai jo dil ki daali
Kaliyaan ab hain khilne waali
Huale haule paas aake
Dheeme se gaayein hawaaein

Jaane ye sab kya hai
Jo bhi hai naya sa hai
Pairon tale dil kho gaya
Ye aaj kya ho gaya

Sach bari bari ho rahe sab khwaab hain
Panchhi udaane bharne ko betaab hain
Aankhon mein hai aasmaan o o

Resham ke jaise narmi hai har baat mein
Ujle hain din aur chandni hai raat mein
Har lamha hai meherbaan o o

Jaane ye sab kya hai
Jo bhi hai naya sa hai
Pairon tale dil kho gaya
Ye aaj kya ho gaya

It is a sweet song in the voice of Sunidhi Chauhan. The song shows a beautiful enviornment of nature. This is Farhaan’s second film after his first superhit ‘Rock On‘.


 



No Responses to “Ye Aaj Kya Ho Gaya from Luck By Chance”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.