Yaara Ho Maula from Gulaal

Advertisements


Movie : Gulaal
Singers : Rahul Ram, Aushim, Piyush Mishra
Song : Yaara Ho Maula
Lyricist : Piyush Mishra
Actors : Deepak Dobriyal, Kay Kay Menon, Aditya Srivastav, Piyush Mishra, Ayesha Mohan
Music Director : Piyush Mishra

yaara ho maula
yaara ho maula
ha ha yaadon mein hai ab bhi
kya sureela wo jahaan tha
hamaare haathon mein
rangeen gubbaare the
aur dil mein mehekta sama tha

yaara ho maula
wo to khwaabon ki thi duniya
wo kitaabon ki thi duniya
saans mein the machalte hue zalzale
aankh mein wo suhaana nasha tha
yaara ho maula

wo zameen thi aasmaan tha
humko lekin kya pata tha
hum khade the jahaan par
usi ke kinaare par
gehra sa andha kuan tha
yaara ho maula

phir wo aayi bheed bankar
haath mein the unke khanjar
bole phenko ye kitaabein
aur sambhalo ye salakhein
ye jo gehra sa dhuan hai
haan haan andha to nahi hai
is kuein mein hai khazana
kal ki duniya to yahin hain
kood jao le ke khanjar
kaat daalo jo ho andar
tum hi kal ke ho shivaji
tum hi kal ke ho sikandar

humne wo hi kiya jo unhone kaha
kyun ki unki to khwaahish yahi thi
hum nahi jaante ye bhi kyun ye kiya
kyun ki unki farmaaish yahi thi
ab hamaare laga zayka khoon ka
ab bataao karein to karein kya
nahi hai koi jo hamein kuchh bataaye
bataao karein to karein kya

Another soft number which is sung by three singers Rahul Ram, Aushim, Piyush Mishra. Lyricist Piyush Mishra has created the song by adding the feel of crime in it.


 



No Responses to “Yaara Ho Maula from Gulaal”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.