Sau Baar Janam Lenge from Ustaadon Ke Ustaad

Advertisements


Movie : Ustaadon Ke Ustaad
Singers : Mohammad Rafi
Song : Sau Baar Janam Lenge
Lyricist : Asad Bhopali
Actors : Pradeep Kumar
Music Director : Usha Khanna

sau baar janam lenge
sau baar fanaa honge
aye jaan e wafaa phir bhi
hum tum na juda honge

sau baar janam lenge
sau baar fanaa honge
kismat hamein milne se
rokegi bhala kab tak

in pyaar ki raahon mein
bhatkegi wafaa kab tak
kadmon ke nishaan khud hi
manzil ka pata honge

sau baar janam lenge
sau baar fanaa honge
aye jaan e wafaa phir bhi
hum tum na juda honge

sau baar janam lenge
sau baar fanaa honge
ye kaisi udaasi hai
jo husn pe chhaayi hai

hum door nahi tum se
kehne ko judaai hai
armaan bhare do dil
phir ek jagah honge

sau baar janam lenge
sau baar fanaa honge
aye jaan e wafaa phir bhi
hum tum na juda honge
sau baar janam lenge
sau baar fanaa honge

The song is from the film Ustaadon Ke Ustaad which was released in the year 1963. This song shows the feel of loneliness through its lyrics. Lyrics for the song are written by Asad Bhopali.


 



No Responses to “Sau Baar Janam Lenge from Ustaadon Ke Ustaad”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.