Ramchandra keh gaye siya se from Gopi

Advertisements


Movie : Gopi
Singers : Mahendra Kapoor
Song : Ramchandra Keh Gaye Siya Se
Lyricist : Rajendra Krishan
Actors : Dilip Kumar, Saira Banu, Pran
Music Director : Kalyanji Anandji

He ji re He ji re…
He ji re he…
Ramchandra keh gaye siya se
Ramchandra keh gaye siya se
aisa kaljug aayega
hans chugega daana dunka
hans chugega daana dunka
kauwa moti khayega
he ji re he ji re…

Siya ne poochha bhagwan
kaljug mein dharam karam ko koi nahi maanega
to prabhu bole
dharam bhi hoga karam bhi hoga
dharam bhi hoga karam bhi hoga
parantu sharam nahi hogi
baat baat me maata pita ko
baat baat me maata pita ko
beta aankh dikhayega
he ramchandra keh gaye siya se

Raja aur praja dono mein
hogi nis din khinchaatani khinchaataani
kadam kadam par karenge dono
apni apni manmaani manmaani
hey..

jiske haath mein hogi laathi
jiske haath mein hogi laathi
bhains wahi le jaayega
hans chugega dana dunka
hans chugega dana dunka
kauwa moti khayega

he ramchandra keh gaye siya se
suno siya kaljug mein
kaala dhan aur kaale man honge
kaale man honge
chor uchchakke nagar seth
aur prabhu bhakt nirdhan honge
nirdhan honge hai
jo hoga lobhi aur bhogi
jo hoga lobhi aur bhogi
wo jogi kehlayega
hans chugega dana dunka
hans chugega dana dunka
kauwa moti khayega

he ramchandra keh gaye siya se
mandir soona soona hoga
bhari rahengi madhushaala madhushaala
pita ke sang sang bhari sabha mein
nachengi ghar ki baala ghar ki baala
kaisa kanya daan pita hi
kaisa kanya daan pita hi
kanya ka dhan khaayega
hans chugega dana dunka
hans chugega dana dunka
kauwa moti khayega
he ji re he ji re he

moorakh ki preet buri jue ki jeet buri
bure sang baith chain bhaage hi bhaage
bhaage hi bhaage
kaajal ki kothri mein kaiso hi jatana karo
kaajal ka daag bhai laage hi laage bhai
kaajal ka daag bhai laage hi laage
he ji re he ji re he

kitna jati ho koi kitna sati ho koi
kamini ke sang kaam jaage hi jaage
jaage hi jaage
suno kahe gopiram jiska hai ramdhaam
uska to phand gale laage hi laage re bhai
uska to phand gale laage hi laage
he ji re he ji re..

It is also a hit song of the film Gopi. This song is in the voice of Mahendra Kapoor. Voice of Mahendra Kapoor was unique and also liked by many people. He has given his voice in many films in bollywood.


 



No Responses to “Ramchandra keh gaye siya se from Gopi”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.