Pyaar Kiya To Darna Kya from Mughal e Azam

Advertisements


Movie : Mughal e Azam
Singers : Lata Mangeshkar
Song : Pyaar Kiya To Darna Kya
Lyricist : Shakeel Badayuni
Actors : Prithviraj Kapoor, Dilip Kumar, Madhubala
Music Director : Naushad

insaan kisi se duniya mein
ik baar muhabbat karta hai
is dard ko lekar jeeta hai
is dard ko lekar marta hai

pyaar kiya to darna kya
jab pyaar kiya to darna kya
pyaar kiya koi chori nahi ki
pyaar kiya

pyaar kiya koi chori nahi ki
chhup chhup aahein bharna kya
jab pyaar kiya to darna kya
pyaar kiya to darna kya
jab pyaar kiya to darna kya

aaj kahenge dil ka fasaana
jaan bhi le le chaahe zamaana
aaj kahenge dil ka fasaana
jaan bhi le le chaahe zamaana

maut wohi jo duniya dekhe
maut wohi jo duniya dekhe
ghut ghut kar yoon marna kya
jab pyaar kiya to darna kya
pyaar kiya to darna kya
jab pyaar kiya to darna kya

unki tamanna dil mein rahegi
shammaa isi mehfil mein rahegi
unki tamanna dil mein rahegi
shamma isi mehfil mein rahegi

ishq mein jeena ishq mein marna
ishq mein jeena ishq mein marna
aur hamein ab karna kya
jab pyaar kiya to darna kya
pyaar kiya to darna kya
jab pyaar kiya to darna kya

chhup na sakega ishq hamaara
chaaron taraf hai unka nazaara
chhup na sakega ishq hamaara
chaaron taraf hai unka nazaara

parda nahi jab koi khuda se
parda nahi jab koi khuda se
bandon se parda karna kya
jab pyaar kiya to darna kya
pyaar kiya to darna kya
jab pyaar kiya to darna kya

pyaar kiya koi chori nahi ki
chhup chhup aahein bharna kya
jab pyaar kiya to darna kya

It is a famous hit number from the film Mughal e Azam. The film was a great superhit film of bollywood and its direction is done by K. Asif. The song is a dancing plus romantic number which is picturised on Madhubala in front of Prithiviraj Kapoor and Dilip Kumar.


 



No Responses to “Pyaar Kiya To Darna Kya from Mughal e Azam”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.