Na Aadmi Ka Koi Bharosa from Aadmi

Advertisements


Movie : Aadmi
Singers : Mohammad Rafi
Song : Na Aadmi Ka Koi Bharosa
Lyricist : Shakeel Badayuni
Actors : Dilip Kumar, Waheeda Rehman, Manoj Kumar
Music Director : Naushad Ali

teri muhabbat pe shaq nahi hai
teri wafaaon ko maanta hoon
magar tujhe kis ki aarzoo hai
main ye haqeeqat bhi jaanta hoon

na aadmi ka koi bharosa
na dosti ka koi thikaana
wafa ka badla hai bewafaai
ajab zamaana hai ye zamaana
na aadmi ka koi bharosa

na husn mein ab wo dilkashi hai
na ishq mein ab wo zindagi hai
jidhar nigaahen utha ke dekhun
sitam hai dhokha hai berukhi hai

badal gaye zindagi ke naghme
bikhar gaya pyaar ka taraana
badal gaye zindagi ke naghme
bikhar gaya pyaar ka taraana
na aadmi ka koi bharosa

dawa ke badle mein zeher de do
utaar do mere dil men khanjar
lahoo se seencha tha jis chaman ko
uge hain shole usi ke andar

mere hi ghar ke chiraag ne khud
jala diya mera aashiyaana
mere hi ghar ke chiraag ne khud
jala diya mera aashiyaana

na aadmi ka koi bharosa
na dosti ka koi thikaana
wafa ka badla hai bewafaai
ajab zamaana hai ye zamaana

This song is a sad number from the film Aadmi. Voice for this song is given by Mohammad Rafi and it is picturised on Dilip Kumar and Waheeda Rehmaan. Rafi’s voice creates magical feel in this song. Lyrics used by Shakeel Badayuni are also much appreciable.


 



No Responses to “Na Aadmi Ka Koi Bharosa from Aadmi”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.