Mujh Ko Apne Gale Laga Lo from Hamrahi

Advertisements


Movie : Hamrahi
Singers : Mohammad Rafi and Mubarak Begum
Song : Mujh Ko Apne Gale Laga Lo
Lyricist : Hasrat Jaipuri
Actors : Rajendra Kumar, Jamuna, Mehmood
Music Director : Shankar Jaikishan

mujh ko apne gale laga lo
aye mere humraahi
mujh ko apne gale laga lo
aye mere humraahi
tum ko kya batlaaun main
ke tumse kitna pyaar hai

mujh ko apne gale laga lo
aye mere humaraahi
tum ko kya batlaaun main
ke tum se kitna pyaar hai
mujh ko apne gale laga lo

jab tum mujh se door rehte ho
jiya mera ghabraata hai
neend aankho se ud jaati hai
chaand agan barsaata hai
dono pehloo jal jaate hain

aag mein aag lagaata hai
jaise tadpe bin jal machhli
pyaar mujhe tadpaata hai
pyaar mujhe tadpaata hai

is uljhan se mujh ko bacha lo
aye mere humraahi
tum ko kya batlaaun main
ke tum se kitna pyaar hai

mujh ko apne gale laga lo
aye mere humaraahi
tum ko kya batlaaun main
ke tum se kitna pyaar hai
mujh ko apne gale laga lo

jin raahon par has ke chalo tum
phool wahaan khil jaate hain
dum lene ko jahaan ruko tum
madhushaale ban jaate hain

tum ko chhoo kar pawan jhakore
khushboo le kar jaate hain
lekin hum to dekh ke soorat
dil thaame reh jaate hain
dil thaame reh jaate hain

dil se dil ke taar mila lo
aye mere humraahi
tum ko kya batlaaun main
ke tumse kitna pyaar hai

mujh ko apne gale laga lo
aye mere humaraahi
tum ko kya batlaaun main
ke tum se kitna pyaar hai
mujh ko apne gale laga lo

jab tak tum ko main na dekhun
chain mujhe kab aata hai
khojun main bairi man ka panchhi
door kahin ho jaata hai

jab tum mujh ko mil jaati ho
dard dawa ban jaata hai
warna tum bin saara jeevan
soona ban kehlaata hai
soona ban kehlaata hai

har manzil par mujh ko sambhaalo
aye mere humraahi
tum ko kya batlaaun main
ke tum se kitna pyaar hai

mujh ko apne gale laga lo
aye mere humaraahi
tum ko kya batlaaun main
ke tum se kitna pyaar hai
mujh ko apne gale laga lo

A beautiful track in the voice of Mohammad Rafi and Mubarak Begum. This song is from the film Hamrahi which was released in the year 1963. The song is picturised on Rajendra Kumar and Jamuna. Music given by Shankar Jaikishan is nice to listen.


 



No Responses to “Mujh Ko Apne Gale Laga Lo from Hamrahi”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.