Khayaalon Mein Kisi Ke from Baawre Nain

Advertisements


Movie : Baawre Nain
Singers : Geeta Dutt and Mukesh
Song : Khayaalon Mein Kisi Ke
Lyricist : Kidar Sharma
Actors : Raj Kapoor, Geeta Bali, Vijayalaxmi
Music Director : Roshan

khayaalon mein kisi ke
is tarah aaya nahi karte
kisi ko bewafa aa aa ke
tadpaaya nahi karte

khayaalon mein kisi ke
is tarah aaya nahi karte
kisi ko bewafa aa aa ke
tadpaaya nahi karte

dilo ko raund kar
dil apna behlaaya nahi karte
jo thukraaye gaye ho un ko
thukraaya nahi karte
dilo ko raund kar

hasi phoolon ki do din
chaandni bhi chaar din ki hai
chaandni chaar din ki hai
hasi phoolon ki do din
chaandni bhi chaar din ki hai
chaandni chaar din ki hai

mili ho chaand si soorat to
itraaya nahi karte
kisi ko bewafa aa aa ke
tadpaaya nahi karte
khayaalon mein kisi ke

jinhe mitna ho wo mitne se
dar jaaya nahi karte
wo dar jaaya nahi karte
jinhe mitna ho wo mitne se
dar jaaya nahi karte
wo dar jaaya nahi karte

muhabbat karne waale
ghum se ghabraaya nahi karte
kisi ko bewafa aa aa ke
tadpaaya nahi karte
khayaalon mein kisi ke

muhabbat ka sabak seekho
ye jaa kar jalne waalon se
ye jaa kar jalne waalon se
muhabbat ka sabak seekho
ye jaa kar jalne waalon se
ye jaa kar jalne waalon se

ke dil ki baat bhi lab tak
kabhi laaya nahi karte
jo thukraaye gaye ho un ko
thukraaya nahi karte
khayaalon mein kisi ke
is tarah aaya nahi karte

The song is a sweet number from the film Baawre Nain. It is in the voices of Mukesh and Geeta Dutt. The song is picturised on Raj Kapoor and Geeta Baali. Lyricist of the song was Kedar Nath Sharma and he was also the director of the film.


 



No Responses to “Khayaalon Mein Kisi Ke from Baawre Nain”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.