Khaike Paan Banaras Waala from Don - The Chase Begins Again

Advertisements


MovieĀ  : Don - The Chase Begins Again
Singers : Udit Narayan
Song : Khaike Paan Banaras Waala
Lyricist : Javed Akhtar
Actors : Shahrukh Khan, Priyanka Chopra, Arjun Rampal, Isha Koppikar, Boman Irani
Music Director : Shankar Mahadevan, Ehsaan Noorani and Loy Mendonsa

arre tum ka ka bataayi bhaiya
humra haal ka hai
nikle the hum halwa khaane
muh hi jal gaya hai

hmm ka tum ka bataayi
ab ka samjhaayi
badi durghatna hai
mushkil bachna hai

chala aisa chakkar
uthi aisi aandhi
padi hum ka karni
badi kooda phaandi

badi lambi chaudi
huyi bhaaga daudi
din raat jo humne jaag jaag ki
aisi bhagam bhaag
ke hum kabhi hiya gaye
kabhi hua gaye

kabhi hiya gaye
kabhi hua gaye
kabhi idhar bhage
kabhi udhar bhage

phir tumne diya ye paan
to aayi humri jaan mein jaan
to aayi humri jaan mein jaan
to aayi humri jaan mein jaan

khaike paan banaras waala
khaike paan banaras waala
khul jaaye band akal ka taala
khaike paan banaras waala
phir to aisa kare dhamaal
seedhi kar de sab ki chaal
o chhora o chhora

o chhora ganga kinaare waala
o chhora ganga kinaare waala
khaike paan banaras waala
khul jaaye band akal ka taala

arre ram duhaayi
kaise chakkar mein pad gay
haaye haaye haaye
kahaan jaan fansaayi
main to sooli pe chadh gaya
haaye haaye

kaisa seedha saadha
main kaisa bhola bhaala
haan haan
arre kaisa seedha seedha
main kaisa bhola bhaala

jaane kaun ghadi mein pad gaya
padhe likhon se paala
meethi chhuri se
meethi chhuri se hua halaal

chhora ganga kinaare waala
o chhora ganga kinaare waala
khaike paan banaras waala
khul jaaye band akal ka taala

ek naar naveli badi albeli kare atkeli
us ki badi hai dhoom hai aisi man bhaawan
sab dekhe us ko palat palat
aur ghoom ghoom
wo nagar nagar jaaye
dagar dagar
aur an gang mein jyoti chamke
jagar jagar sundar baala
palkon mein liye ek swapn lok
adharon mein liye youvan haala

ithlaati hai balkhaati hai
tan ka chandan
wo chalak chalak
chalkaati hai

wo nain dwaar se tan mein aake
man mein jwaala jagati hai
wo chandramukhi hai
wo mrignaini hai
wo chandramukhi hai
wo mrignaini hai
wo roopwati hai
wo madhumati hai
dhin tak dhin tak dhin tak haan…

ek kanya kunwaari
humri soorat pe mar gayi
haaye haaye haaye
ek meethi kataari
hamre dil mein utar gayi
haaye haaye

kaisi gori gori
o teekhi teekhi chhori
waah waah
arre kaisi gori gori
o theekhi theeki chhori

kar ke zora zori
kar gayi hamre dil ki chori
mili chhori to
mili chhori to hua nihaal

chhora ganga kinaare waala
o chhora ganga kinaare waala

khaike paan banaras waala
khul jaaye band akal ka taala
khaike paan banaras waala
khul jaaye band akal ka taala

phir to aisa kare dhamaal
seedhi kar de sab ki chaal
o chhora o chhora
o chhora ganga kinaare waala
o chhora ganga kinaare waala

This song is a great enjoyble number from the film Don - The Chase Begins Again. The song is in the voice of Udit Narayan and it is picturised on Shahrukh Khan and Priyanka Chopra. Shahrukh has also given his voice for few lines in the song.


 



No Responses to “Khaike Paan Banaras Waala from Don - The Chase Begins Again”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.