Kaun Aaya Mere Man Ke Dwaare from Dekh Kabeera Roya

Advertisements


Movie : Dekh Kabeera Roya
Singers : Manna Dey
Song : Kaun Aaya Mere Man Ke Dwaare
Lyricist : Rajinder Krishan
Actors : Anita Guha, Anoop Kumar, Jawahar Kaul
Music Director : Madan Mohan

kaun aaya..
kaun aaya..
kaun aayaa mere man ke dwaare
paayal ki jhankar liye
kaun aayaa mere man ke dwaare
paayal ki jhankar liye
kaun aaya..

aankh na jaane
dil pehchaane
aankh na jaane
dil pehchaane
sooratiya kuchh aisi
aankh na jaane
dil pehchaane

sooratiya kuchh aisi
yaad karun to
yaad na aaye
mooratiya ye kaisi
paagal manwa
soch mein dooba
sapno ka sansaar liye

kaun aaya mere man ke dwaare
paayal ki jhankar liye
kaun aaya..

ik pal sochun
meri asha
roop badal kar aayi
ik pal sochun
meri asha
roop badal kar aayi

dooje pal phir
dhyaan ye aaye
ho na kahi parchhaayi
jo pardesi ke
ghar aayi
ek anokha pyaar liye
kaun aaya mere man ke dwaare
paayal ki jhankar liye
kaun aaya..

The song is from the film Dekh Kabeera Roya whose direction is done by Amiya Chakrabarty. This film was released in the year 1957. This classical number is picturised on Anoop Kumar while playing Sitar.


 



No Responses to “Kaun Aaya Mere Man Ke Dwaare from Dekh Kabeera Roya”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.