Guzra Hua Zamaana Aata Nahi Dubaara from Shirin Farhad

Advertisements


Movie : Shirin Farhad
Singers : Lata Mangeshkar
Song : Guzra Hua Zamaana Aata Nahi Dubaara
Lyricist : Tanveer Naqvi
Actors : Pradeep Kumar, Madhubala, Ameeta
Music Directors : S Mohinder

guzra hua zamaana
aata nahi dubaara
haafiz khuda tumhaara
khushiyaan thi chaar pal ki
aansoo hain umr bhar ke

tanhaaiyon mein aksar
royenge yaad kar ke
do waqt jo ki humne
ik saath hai guzaara

haafiz khuda tumhaara
meri kasam hai mujh ko
tum bewafa na kehna

majboor thi muhabbat
sab kuchh pada hai sehna
toofan hai zindagi ka
ab aakhiri sahaara
haafiz khuda tumhaara

mere liye sehar bhi
aayi hai raat ban kar
nikla mera janaaza
meri baraat ban kar

achha hua jo tumne
dekha na ye nazaara
haafiz khuda tumhaara

It is a good song from the film Shirin Farhad. The film is based on a famous love story - Shirin Farhad and its direction was done by Aspi Irani. This song is in the voice of Lata Mangeshkar and is picturised on Madhubala.


 



No Responses to “Guzra Hua Zamaana Aata Nahi Dubaara from Shirin Farhad”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.